apni KHudi ko tum sar-e-bazar bech kar
By aalam-nizamiJanuary 18, 2024
apni khudi ko tum sar-e-bazar bech kar
zinda ho kaise daulat-e-kirdar bech kar
yarab ye kya 'azab hai nasl-e-jadid par
karti hai aish purkhon ki dastar bech kar
hasil ki us ke bete ne kursi mudir ki
itna padhaya bap ne akhbar bech kar
us bad-nasib bap ki majburiyan na puchh
khushiyan kharidta hai jo ghar-bar bech kar
mahngi bahut padi mujhe suraj ki dosti
pachhta raha hun saya-e-diwar bech kar
jin ko shu’ur-e-bandagi karta hai rab 'ata
jangal kharid lete hain ghar-bar bech kar
'alam' isi tarah se jo hum muntashir rahe
kha jaenge watan ko ye ghaddar bech kar

92306 viewsghazal • English