apni pasand chhoD di uski KHarid li

apni pasand chhod di us ki kharid li
wirse ka khet bech ke kothi kharid li

ek umr apne beton ko ungli thamai phir
budhe ne ek dukan se lathi kharid li

waise to nirkh kam hi the gandum ke is baras
aai thi tere ganw se mahngi kharid li

hum doston ke pyar mein ham-rang hain libas
aur log kah rahe hain ki wardi kharid li

taswir apni khud hi musawwir ko bha gai
khud gallery mein pesh ki khud hi kharid li

ai hijr-zad tum ko bhi hai aarzu-e-wasl
ai dasht-zad tum ne bhi kashti kharid li

dar-asl masala to hai chalna ghadi ke sath
is se gharaz nahin hai ki kaisi kharid li


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close