apni shohrat ka bharam mujh pe jatane wala

By syed-masood-naqviJanuary 5, 2024
apni shohrat ka bharam mujh pe jatane wala
bhul baitha hai use main hun banane wala
waqt padta hai to hota nahin maujud kahin
kaam aata hi nahin baaten banane wala


bap banne pe samajh aai haqiqat mujh ko
kharch karta hi nahin khud pe kamane wala
main ne chhoda hai jise dil se laga kar apne
ab nahin koi use dil se lagane wala


sar se pani bhi guzar jae magar uf na kare
dosti aise nibhata hai nibhane wala
chor-darwaza jo rakkha hai ye baghiche mein
kaun aisa hai tera milne milane wala


42384 viewsghazalEnglish