apni tarah mujhe bhi zamane mein aam kar

By rasheed-qaisraniNovember 13, 2020
apni tarah mujhe bhi zamane mein aam kar
ai zat-e-ambarin mujhe khushbu maqam kar
un pattharon ko rakh na kar soz-e-nutq se
mujh se kalam kar kabhi mujh se kalam kar


sadiyon ki main kashid hun ai saqi-e-azal
mere wajud ko bhi kabhi sarf-e-jam kar
aazad ho chuka hun main qaid-e-hawas se
baam-e-nazar se ab mera baala maqam kar


mujh ko nishan-e-saltanat-e-be-nishan de
duniya-e-nam-o-nang ko be-nang-o-nam kar
sara nizam-e-shams kahin ye bujha na de
is sokhta kiran ka koi intizam kar


aalam mein hai sabaat faqat meri ruh ko
mujh mein sama ke ab koi kar-e-dawam kar
koi makin-e-qarya-e-jaan tu bhi dhundh le
tu bhi 'rashid' aaj kisi ko salam kar


92610 viewsghazalEnglish