apni wahshat pe ro raha hun main kis parinde ka ghonsla hun main teri binai dhundhti hai mujhe teri aankhon ka masala hun main mukhtalif git mujh se marwi hain mukhtalif khwab dekhta hun main tere lafzon mein nur bharta hun teri aawaz ka diya hun main kal main bedar khwab-gah mein tha aaj chaukhat pe jagta hun main teri manzil agar mohabbat hai tere raste ka rasta hun main jab ghutan par na bas chale 'arish' apni aankhon se phutta hun main