apnon ka sataya hua apnon ka Dasa hun

By masood-hassasNovember 5, 2020
apnon ka sataya hua apnon ka dasa hun
ji-jaan luta aaya magar phir bhi bura hun
is jism ko jhonka hai mashaqqat ki agan mein
har lamha mara mar ke jiya ji ke mara hun


har roz qalam sar ko kiya hath se apne
har raat ko jazbaat ki suli pe chadha hun
is mulk mein sone ke niwale nahin bhai
bas ret hai aur ret ko main phank raha hun


jis ghar ko bade tao se tum bant rahe ho
us ghar ke banane ko shab-o-roz jala hun
tum sochte ho aish ka bistar hai mayassar
main dhup ke sahra mein thakan odh raha hun


52802 viewsghazalEnglish