apnon ke sitam yaad na ghairon ki jafa yaad wo hans ke zara bole to kuchh bhi na raha yaad kya lutf uthaega jahan-e-guzaran ka wo shakhs ki jis shakhs ko rahti ho qaza yaad hum kag uda dete hain botal ka usi waqt garmi mein bhi aa jati hai jab kali ghata yaad mahshar mein bhi hum teri shikayat na karenge aa jaegi us din bhi hamein shart-e-wafa yaad pi li to khuda ek tamasha nazar aaya aaya bhi to aaya hamein kis waqt khuda yaad allah tera shukr ki ummid-e-karam hai allah tera shukr ki us ne bhi kiya yaad kal tak tere bais main use bhula hua tha kyun aane laga phir se mujhe aaj khuda yaad