aqdar-e-kuhan hath se jaane nahin deta

By irfan-aazmiFebruary 6, 2024
aqdar-e-kuhan hath se jaane nahin deta
ghar us ke chale jao to aane nahin deta
milta hai magar hath milane nahin deta
diwar takalluf ki girane nahin deta


ma'lum nahin mujh se wo khush hai ki khafa hai
chehre pe koi rang hi aane nahin deta
tauhin-e-‘adalat ki saza us ko mili hai
jo 'adl ko suli pe chadhane nahin deta


tariq ki qayaadat ke talabgar to sab hain
kashti hi koi aaj jalane nahin deta
aasan to yahi hai ki utho shahr jalao
jangal mein koi aag lagane nahin deta


us shakhs se phal ki koi ummid rakhe kya
jo ped ke patte bhi uthane nahin deta
'irfan' mere shahr ki galiyan hain bahut tang
diwar koi apni girane nahin deta


41491 viewsghazalEnglish