aql gai hai sab ki khoi kya ye khalq diwani hai aap halal main hota hun in logon ko qurbani hai nutq-e-zaban gar hota mujh ko puchhta main taqsir meri han ye magar do aankhen hain so in se ashk-fishani hai ghas chari hai jangal ki main jun mein dumbe bakre ki un ka kuchh dhaala ki bigada jis par khanjar rani hai tin jagah se mere gale ko misl-e-shutur ye katte hain din-e-mohammadi hai jo khalili us ki ye tughyani hai jins ne jins ko qatl kiya kab dekhiyo bad-zati to zara yani jo ho mard-e-musalman us ki ye hi nishani hai kafir dil jallad nahin hum zakhm ko ek samajhte hain hum ko jo is kaam ka samjhe us ki ye nadani hai rah-e-raza par apna gala katwae jo niche khanjar ke 'mushafi' us ko hum ye kahenge wo bhi husain-e-sani hai