aql ka har sawal kaT diya

By fahmi-badayuniFebruary 5, 2024
'aql ka har sawal kat diya
be-khudi ne wabaal kat diya
machhliyan to phansi hui thin magar
ek kachhue ne jal kat diya


fa'ilatun ne jab nazar badli
hum ne taza khayal kat diya
ek zara aankh lag gai thi raat
qissa-go ne wabaal kat diya


kaam mushkil tha par sawere tak
main ne mazi se haal kat diya
ek din aansuon ki turshi ne
aap ka bhi rumal kat diya


rah mein aasmani lashkar ko
jo mila paemal kat diya
59825 viewsghazalEnglish