aql ko aashuftagi se kya gharaz ahl-e-dil ki dil-lagi se kya gharaz phir bhi wo muhtaj-e-saqi ho gaya jam-e-mai ko tishnagi se kya gharaz thik samjha hai nizam-e-kohna ko murda sar ko tazgi se kya gharaz mast ho jo apne jalwon mein use aap ki tabindagi se kya gharaz