are ye adl ye insaf al-aman un ka
By amjad-ali-ghaznawiOctober 2, 2021
are ye adl ye insaf al-aman un ka
ki har zamin meri aur har aasman un ka
dilon mein jin ke gham-e-ahl-e-karwan na raha
pahunch sakega na manzil pe karwan un ka
hazar kaba-e-iman wahin-wahin pe bane
qadam pada tha chaman mein jahan-jahan un ka
asir-e-jalwa-e-manzil ki qaid ki khatir
bichhega dam-e-asiri kahan kahan un ka
dilon ko jit ke shahanshah-e-jahan ban ja
ki ye jahan hai tera na ye jahan un ka
kahan pe kijiye sajda ki ban gai 'amjad'
jabin-e-shauq meri sang-e-astan un ka

99782 viewsghazal • English