
arsh ke tare tod ke laen kawish log hazar karen 'mir' ki baat kahan se paen aakhir ko iqrar karen aap ise husn-e-talab mat samjhen na kuchh aur shumar karen sher ek 'mir' faqir ka hum jo aap ke gosh guzar karen aaj hamare ghar aaya lo kya hai jo tujh pe nisar karen illa khinch baghal mein tujh ko der talak hum pyar karen kab ki hamare ishq ki naubat qais se aage ja pahunchi rasman log abhi tak us marhum ka zikr azkar karen durj-e-chashm mein ashk ke moti le jaane hain un ke huzur chokha rang lahu ka de kar aur unhen shahwar karen din o dil o jaan sab sarmaya jis mein apna sarf hua ishq ye karobar nahin kya aur jo karobar karen jitne bhi dil-rish hain us ke sab ko name bhej bula us be-mehr wafa dushman ki yaadon ka darbar karen
Please share if you liked this!!!