asar baaton ka tujh par ab sitam-gar kuchh nahin hota
By meem-maroof-ashrafFebruary 27, 2024
asar baaton ka tujh par ab sitam-gar kuchh nahin hota
qasi-ul-qalb is darja ki patthar kuchh nahin hota
yaqin garche na aae aazma kar dekh lijega
siwa dukh ke mohabbat mein mayassar kuchh nahin hota
nazar jo kaam karti hai kahan khanjar wo karte hain
nazar ke samne talwar-o-nashtar kuchh nahin hota
ghazal ash'ar tere husn ke marhun-e-minnat hain
ye zan teri badaulat hai sukhan-war kuchh nahin hota
zarurat hai ‘umar faruq jaise peshwaon ki
nazar mein jin ki kamtar aur bartar kuchh nahin hota
luta kar sab husain ibn-e-'ali ne hum ko batlaya
ki aage din ke ‘abbas-o-akbar kuchh nahin hota

15039 viewsghazal • English