asar-e-ah-e-dil-e-zar ki afwahen hain yani mujh par karam yar ki afwahen hain sharm ai nala-e-dil khana-e-aghyar mein bhi josh-e-afghan-e-aza-bar ki afwahen hain kab kiya dil pe mere pand-o-nasihat ne asar naseh-e-behuda-guftar ki afwahen hain jins-e-dil ke wo kharidar hue the kis din ye yunhi kucha-o-bazar ki afwahen hain qais-o-farhad ka munh? mujh se muqabil honge? mardum-e-wadi-o-kohsar ki afwahen hain ye bhi kuchh baat hai main aur karun ghair se baat tum na mano ki ye aghyar ki afwahen hain kis tawaqqo pe jien 'shefta' mayus karam ghair par bhi sitam yar ki afwahen hain