ashk aankhon mein dabdabae hain bhule afsane yaad aae hain hum ne daman ko tar-tar kiya mausam-e-gul ne gul khilae hain aksar auqat roghni ke liye hum ne dil ke diye jalae hain ranj bakhshe hain aise apnon ne hum ko begane yaad aae hain chand-roza hayat ki khatir zindagi-bhar fareb khae hain mai-kasho ek jam taziman hazrat-e-waiz aaj aae hain waqt hi ka to pher hai 'bismil' kal jo apne the ab parae hain