ashk aankhon mein kyon be-karan aa gae
By betab-amrohviFebruary 26, 2024
ashk aankhon mein kyon be-karan aa gae
kya tumhein yaad hum jaan-e-jaan aa gae
ye qafas hai hamara nasheman nahin
hum chaman se nikal kar kahan aa gae
doston ki tamanna mein nikle the hum
dushmanon ke magar darmiyan aa gae
hum ko pine pilane ki 'adat nahin
hum to bas yunhi pir-e-mughan aa gae
hum ko duniya ki khwahish nahin thi magar
teri baaton mein hum aasman aa gae
kya tumhein yaad hum jaan-e-jaan aa gae
ye qafas hai hamara nasheman nahin
hum chaman se nikal kar kahan aa gae
doston ki tamanna mein nikle the hum
dushmanon ke magar darmiyan aa gae
hum ko pine pilane ki 'adat nahin
hum to bas yunhi pir-e-mughan aa gae
hum ko duniya ki khwahish nahin thi magar
teri baaton mein hum aasman aa gae
44784 viewsghazal • English