ashk-e-gham se shikwa-e-bedad kar leta hun main be-zaban to hun magar fariyaad kar leta hun main jab shabab-o-husn un ka yaad kar leta hun main ek jahan-e-rang-o-bu aabaad kar leta hun main jab kabhi tark-e-mohabbat ki sada deta hai dil aap ki pahli wafaen yaad kar leta hun main aarzu-e-did se dil ko hujum-e-yas se shad kar leta hun main nashad kar leta hun main shab-e-gham se dar-haqiqat ishq ki hoti hai qadar aashiyan mein yun qafas ko yaad kar leta hun main hoti hai mahsus jab un ki jafaon mein kami khud-bakhud taza sitam ijad kar leta hun main