ashk ko aankh ki dahliz pe laya na karo

By hajra-noor-zaryabOctober 31, 2020
ashk ko aankh ki dahliz pe laya na karo
dil ke haalat zamane ko bataya na karo
apni aankhon mein hasin khwab sajaya na karo
pyar ka taj-mahal dil ko banaya na karo


khusbu-e-ishq bhi hai itr ki khushbu jaisi
sakht dushwar hai ai yar chhupaya na karo
khud hi sanpon ko bula lete ho apne ghar mein
ped chandan ke tum aangan mein lagaya na karo


rab to hai shafi-e-mutlaq hai shifa-bakhsh wahi
sar dar-e-ghair pe tum apna jhukaya na karo
khwab ke jitne gharaunde hain bikhar jaenge
apni palkon pe kai khwab sajaya na karo


sang-dil jo bhi hain un ko na basao dil mein
shish-mahlon mein kabhi sang lagaya na karo
bunda-bandi bhi muqaddar mein nahin hai 'zaryab'
apne aangan mein nae ped lagaya na karo


23819 viewsghazalEnglish