ashk palkon par atak kar rah gae qafile raste mein thak kar rah gae bujh gae jal jal ke aasha ke diye raat jugnu se chamak kar rah gae koi un ka puchhne wala na tha phal darakhton par jo pak kar rah gae phul ka tohfa to pahuncha hath mein khar aankhon mein khatak kar rah gae thi rasai jin ki wo suraj bane na-rasa zarre damak kar rah gae sukhe honton tak na pahuncha ek bhi jam kitne hi chhanak kar rah gae rah to sidhi 'asir' us ghar ki hai log jaane kyon bhatak kar rah gae