ashk se dariya hua dariya se tufan ho gaya
By bhagwan-khilnani-saqiFebruary 26, 2024
ashk se dariya hua dariya se tufan ho gaya
kashti-e-‘umr-e-rawan ka saz-o-saman ho gaya
fasl-e-gul mein dil ki wahshat ka jo saman ho gaya
chaak daman ho gaya purze gareban ho gaya
daf'atan us ne rukh-e-raushan se jab ulti naqab
ek meri baat kya 'alam bhi hairan ho gaya
yun bazahir barq ki puri hui khwahish magar
aashiyana jal ke khud gulshan pe qurban ho gaya
ab rihai ki koi surat nazar aati nahin
murgh-e-dil mera asir-e-zulf-e-pechan ho gaya
ranj-o-gham dard-o-alam 'saqi' ne apne de diye
meri khatir khub aasaish ka saman ho gaya

36295 viewsghazal • English