ashkon se mere rabt purane nikal paDe
By tara-iqbalMay 31, 2021
ashkon se mere rabt purane nikal pade
patthar ke is dayar se shane nikal pade
ek sang se jo badhne lagin aashnaiyan
danista hum bhi thokaren khane nikal pade
ghar wapsi ka waqt tha dhalne lagi thi sham
bikhre jahan jahan the uthane nikal pade
phir le ke aaya hai unhen galiyon mein iztirab
hum phir wahin pe dhul udane nikal pade
khalwat mili to chikh padin be-zabaniyan
sine mein dard shor machane nikal pade
muztar dil-e-tabah ki nadaniyan to dekh
jis ko ganwa ke aae the pane nikal pade
badhne lagi khalish to umand aain barishen
sahra mein hum bhi sabza ugane nikal pade
kuchh bhi ana ka zoam na khuddariyon ka pas
'tara' hum us ko khud hi manane nikal pade

58915 viewsghazal • English