asir-e-bazm hun khalwat ki justuju mein hun main apne aap se milne ki aarzu mein hun meri sarisht mein rang-e-bahaar hai lekin bahut dinon se kisi bagh-e-be-numu mein hun to mujh ko bhul gaya hai magar mere mutrib main dard ban ke tere naghma-e-gulu mein hun khizan-rasida kisi nakhl-e-nim-jaan ke tale mujhe bhi dekh usi sham-e-zard-ru mein hun bhatakta rahta hun sham-o-sahar nahin malum main kisi talash mein hun kis ki justuju mein hun wo jis ke tarz-e-masihai par hai shahr nisar usi ki tegh se duba hua lahu mein hun main ek aatish-e-khwab-afrida ki surat kabhi charagh ki lau mein kabhi subu mein hun tu mere lafzon se bahar mujhe talash na kar chhupa hua main kahin apni guftugu mein hun pukarta hun madad ko koi nahin aata sitam ki sham hai aur nargha-e-adu mein hun