asiri mein tabahi raunaq-e-kashana ho jae

asiri mein tabahi raunaq-e-kashana ho jae
qafas hi nalon se jal kar charagh-e-khana ho jae

taghaful sazgar-e-shauq-e-ahl-e-dard kya hoga
ada se do fareb aisa ki dil diwana ho jae

na kahna ghair se qasid ki main matlab nahin samjha
payam-e-yar hai hai mani-e-begana ho jae

nahin kyun hazrat-e-musa ki betabi ke ham-pairaw
ki raaz-e-dil zaban par aae aur afsana ho jae

kahan tak zabt-e-be-tabi dil-e-miskin mujhe dar hai
teri khu-e-tahammul se wo be-parwa na ho jae

fughan karte hue ja pahuncho us ki bazm-e-ishrat mein
kabhi to ai 'zaki' ye shokhi-e-rindana ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close