ata kar di kisi ne wo bala ki tishnagi mujhko

By balbir-rathiJanuary 2, 2024
'ata kar di kisi ne wo bala ki tishnagi mujh ko
na ras aaegi shayad zindagi-bhar zindagi mujh ko
meri ye bebasi to khair kuchh aisi nahin hamdam
magar jine nahin degi teri bechaargi mujh ko


bhala main rutba-e-diwangi ka mustahiq kab tha
kisi ke pyar ne de di yunhi diwangi mujh ko
koi manzil bhi ho wo meri manzil ho nahin sakti
azal se hi mili hai be-sabab aawargi mujh ko


mujhe to zindagi mein barha mahsus hota hai
mere ma'sum khwabon ne hi di hai naghmagi mujh ko
70636 viewsghazalEnglish