'athar' tum ne ishq kiya kuchh tum bhi kaho kya haal hua koi naya ehsas mila ya sab jaisa ahwal hua ek safar hai wadi-e-jaan mein tere dard-e-hijr ke sath tera dard-e-hijr jo badh kar lazzat-e-kaif-e-visal hua rah-e-wafa mein jaan dena hi pesh-rawon ka shewa tha hum ne jab se jina sikha jina kar-e-misal hua ishq fasana tha jab tak apne bhi bahut afsane the ishq sadaqat hote hote kitna kam-ahwal hua rah-e-wafa dushwar bahut thi tum kyun mere sath aae phul sa chehra kumhlaya aur rang-e-hina pamal hua