aur bhi aaenge kuchh ahl-e-wafa mere baad

By karrar-nooriNovember 3, 2020
aur bhi aaenge kuchh ahl-e-wafa mere baad
aur bhi nikhregi duniya ki faza mere baad
e'tiraf apni khataon ka main karta hi chalun
jaane kis kis ko mile meri saza mere baad


zindagi sath hai aur dar-o-rasan par hai nazar
khud badal jaega mafhum-e-qaza mere baad
ghaebana bhi taaruf mera kya kya na hua
hae wo shakhs ki jo mujh se mila mere baad


zakhm-e-dil hain mere phulon ki guzar-gahon mein
narm-rau rahna zara baad-e-saba mere baad
kal teri bazm ka har ek tarahdar-e-wafa
lazzat-e-rashk se mahrum hua mere baad


kash us se bhi taaruf mera hota 'nuri'
jis pe wo pahle-pahal honge khafa mere baad
72045 viewsghazalEnglish