aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat

By suroor-barabankviNovember 22, 2020
aur koi dam ki mehman hai guzar jaegi raat
dhalte dhalte aap-apni maut mar jaegi raat
zindagi mein aur bhi kuchh zahr bhar jaegi raat
ab agar thahri rag-o-pai mein utar jaegi raat


jo bhi hain parwarda-e-shab jo bhi hain zulmat parast
wo to jaenge usi jaanib jidhar jaegi raat
ahl-e-tufan be-hisi ka gar yahi aalam raha
mauj-e-khun ban kar har ek sar se guzar jaegi raat


hai ufuq se ek sang-e-aftab aane ki der
tut kar manind-e-aina bikhar jaegi raat
hum to jaane kab se hain aawara-e-zulmat magar
tum thahar jao to pal bhar mein guzar jaegi raat


raat ka anjam bhi malum hai mujh ko 'surur'
lakh apni had se guzre ta-sahar jaegi raat
69687 viewsghazalEnglish