aur kuchh yaad nahin ab se na tab se puchho meri aankhon se lahu bahta hai kab se puchho lamhe lamhe mein hua jata hun reza reza wajh kuchh mujh se na puchho mere rab se puchho wo to suraj hai har ek baat ka shoala hai jawab ru-ba-ru aa ke kaho ya ki aqab se puchho yaad hai qissa-e-gham ka mujhe har lafz abhi haal jis dard ka jis ranj ka jab se puchho tai hawa kaise andheron ke samundar ka safar ghaza-e-subh se kya chadar-e-shab se puchho zakhm dekho mere talwon ke na chehre ka ghubar mujh pe kya guzri hai ye rah-e-talab se puchho kitne sahra ki simat aae hain sine mein mere tishnagi meri na sukhe hue lab se puchho yun na har chehre pe ab dalo sawali nazren us ke kuche ka pata tum to na sab se puchho mujh se kya puchhte ho sare hi lamhon ka hisab mil ke jis mod se hum bichhde hain tab se puchho harf-e-haq kahne mein kya kya na hue hum pe sitam puchhna hi hai to bu-jahl o lahb se puchho jumbish-e-lab ki tumhein bhi hai ijazat 'anjum' baat jo puchho bahar-haal adab se puchho