aur tadpae mujhe dard-e-jigar aaj ki raat kal wo aaenge nahin aae agar aaj ki raat khud-bakhud kam hai mera dard-e-jigar aaj ki raat kaun aaega ilahi mere ghar aaj ki raat ulte deta hai naqab-e-rukh-e-raushan koi sham hi se hui jati hai sahar aaj ki raat main jo betab gaya bazm mein to wo bole khair hai khair hai aa nikle kidhar aaj ki raat dar-e-mai-khana agar band hai masjid ko chalo mai-kasho pad raho allah ke ghar aaj ki raat han zara chaunk to aind aind ke sone wale le kisi aashiq-e-muztar ki khabar aaj ki raat ek muddat se jise dhund rahi thin aankhen aane wala hai wahi rashk-e-qamar aaj ki raat subh hote tere bimar ka dam niklega hai ye mehman sifat-e-sham-e-sahar aaj ki raat dard-e-dil tu ne hamein mar hi dala hota wo kaleje se lagate na agar aaj ki raat koi sota hai kahin sath kisi ke shayad dil ke hamrah tadapta hai jigar aaj ki raat tum to mar jaoge dam bhar mein tadap ke 'naushad' dur-az-haal wo aae na agar aaj ki raat