ayan hai be-ruKHi chitwan se aur ghussa nigahon se

ayan hai be-rukhi chitwan se aur ghussa nigahon se
payam-e-khamushi aur wo bhi do do nashr-gahon se

wabaal-e-jaan hai aisi zindagi jis mein talatum ho
mita lun hausle phir tauba kar lunga gunahon se

faza mahdud kab hai ai dil-e-wahshi falak kaisa
nilahat hai nazar ki dekhte hain jo nigahon se

haqiqat mein nigahon se koi manzil nahin bachti
guzarte dekhe hain gosha-nashin tak shah-rahon se

tahi-dastan-e-qismat ko na lena tha na dena tha
hisab-e-zindagi kya hai ye puchho baadshahon se

hamein to jalte dil ki raushni mein aage badhna hai
hata do qumqume bijli ke na-hamwar rahon se

mere nalon ke sab shaki koi un ko nahin kahta
khurachte rahte hain jo zakhm-e-dil khuni nigahon se

pila do zahr-e-gham dil ko na chhode gar hawas-kari
gunah wo ek achchha jo bacha le sau gunahon se

hamin kuchh 'arzu' pher un ki baaton ka samajhte hain
jo haq-poshi mein sach ko jhut karte hain gawahon se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close