ayan hum apne KHayalat kar ke dekhte hain
By mohammad-salahuddin-taskeenJune 19, 2021
ayan hum apne khayalat kar ke dekhte hain
agar wo chup hain to hum baat kar ke dekhte hain
kabhi to un ki khamoshi ka raaz ifsha ho
nazar se aaj sawalat kar ke dekhte hain
kai dinon se wo milte nahin hain hum se magar
qadam badha ke mulaqat kar ke dekhte hain
nasib apna kabhi to chamak bhi sakta hai
kahin pe din to kahin raat kar ke dekhte hain
yahan jo dhup hai nafrat ki har taraf ‘taskin'
chalo ki pyar ki barsat kar ke dekhte hain

35933 viewsghazal • English