ayan hum par na hone ki khushi hone lagi hai diye mein ek nai si raushni hone lagi hai nai kuchh hasraten dil mein basera kar rahi hain bahut aabaad ab dil ki gali hone lagi hai so tai paya masaib zindagi ke kam na honge magar kam zindagi se zindagi hone lagi hai udhar tar-e-nafas se aa mili hai raunaq-e-zist idhar kam mohlati mein bhi kami hone lagi hai sar-e-aghaz dil ki dastan mein wo nahin tha magar mahsus ab us ki kami hone lagi hai hamari dosti ka dam bharen aise kahan hain zamane sab se teri dosti hone lagi hai