az azal shauq kisi ghair ka diwana raha
By tasnim-abbas-quraishiMarch 1, 2024
az azal shauq kisi ghair ka diwana raha
aur apnon se hamesha koi an-jaana raha
din-ba-din girti gai apne hi me'yar se aap
hae is qaum ko koi gham-e-farda na raha
aisa lagta hai ki wajib hua jaana apna
koi is des mein jab apna shanasa na raha
hum haqiqat ke tasawwur se rahe na-manus
apne hisse mein hamesha koi afsana raha
bab-e-taslim-o-raza par kiya sar kham jab se
phir nazar mein koi dar aur daricha na raha
ab mujhe dan kiye jate ho jaane kya kya
jab mere honton pe koi bhi taqaza na raha
mujh se nalan hi dikhai diya wo kahta hua
pahle 'tasnim' to achchha tha ab achchha na raha

49335 viewsghazal • English