azab-e-did ka muzhda suna raha hai mujhe kisi ki baat suna kar jala raha hai mujhe wo apne sach ko kabhi kar nahin saka sabit jo ek umr se jhuta bana raha hai mujhe jo shakhs mim ke mafhum tak nahin pahuncha khuda ki shan mohabbat sikha raha hai mujhe use uruj ka mafhum aa gaya hai samajh so is liye bhi nazar se hata raha hai mujhe hisar-e-ranj-o-alam tutta nahin kyun-kar ye hadsat ka rona rula raha hai mujhe main be-yaqini ke sahra ko par to kar lun magar jo ek samundar bula raha hai mujhe