azab hum pe jo nazil hua khuda se na tha ki tu raza se muqaddar hua qaza se na tha ye haal-e-zar to aashob-e-agahi se hua ki gul-darida-jigar mauja-e-saba se na tha khandar to shahr-e-dil andar ke zalzalon se hua ye zulm teri jafa ya teri wafa se na tha bikhre gae gul-e-nazuk hawa ke jhonke se gila jo tha to nazakat se tha hawa se na tha dil-o-dimagh pe tha ikhtiyar hum ko bhi hayat par ye tasarruf tera sada se na tha teri hayat khilauna bani muqaddar ka sabab ye hai ki tera rabta khuda se na tha mujhe to jo bhi mila aaina-ba-dast mila main jabr-e-ghair se tha khud-nigar ana se na tha