azab raaton KHizan-ruton ki kahani likkhun

By anjum-usmanOctober 25, 2020
azab raaton khizan-ruton ki kahani likkhun
main teri furqat ki saaton ko zabani likkhun
bas ek pakiza rabt hai ruh-o-jaan ka tujh se
to phir main is sare waqiye ko gumani likkhun


mujhe mayassar hain sare rishte wahi nahin hai
bhala main kis dil se shauq ki raegani likkhun
dua suna hai falak pe ja ke atak gai hai
so tujh ko pane ki kya yunhi khush-gumani likkhun


jo bah rahe hain meri ragon mein hain ashk mere
bhala main kaise lahu ki apne rawani likkhun
kabhi jo dariya chadha tha dil ka utar chuka hai
to kya main jazbaat ke talatum ko fani likkhun


ye mere jiwan ke sare mausam bata rahe hain
main apne aangan ke har shajar ki jawani likkhun
yam-e-tarab aur na e'tibar-e-junun raha hai
so ishq mere tujhe main khuld-ashiyani likkhun


hawas-e-khamsa ka silsila bhi yahin talak hai
falak zamin ke jo darmiyan hai makani likkhun
nahin gaya wo kahin bhi 'anjum' yahin kahin hai
main shauq ki sab ishaaraton ke maani likkhun


61991 viewsghazalEnglish