azal-ta-haal muqayyad si ek hayat mein hun

By asim-qamarFebruary 25, 2024
azal-ta-haal muqayyad si ek hayat mein hun
saza bataur kisi aur kaenat mein hun
mere tabib mujhe hichkiyon ka nuskha de
bharam rahe main kisi ke tasawwuraat mein hun


koi nahin tha to khud se sawal-e-wasl kiya
jawab aaya mu'afi hisar-e-zat mein hun
sar-e-wajud koi karbala musallat hai
shadid pyas hai aur wadi-e-furaat mein hun


tera bhi koi tujhe chhod ke chala jae
main kuchh dinon se isi khwahish-e-nashat mein hun
'bashir-badr' padhoge to main milunga tumhein
udasi nam se hazrat ki kulliyat mein hun


40762 viewsghazalEnglish