azizan sitamgar na aaya mere ghar

By taban-abdul-haiNovember 22, 2020
azizan sitamgar na aaya mere ghar
na aaya mere ghar azizan sitamgar
mohabbat tu mat kar dil us bewafa se
dil us bewafa se mohabbat tu mat kar


laga dil mein khanjar tumhaari nigah ka
tumhaari nigah ka laga dil mein khanjar
hua kyun mukaddar tu ai aaina-ru
tu ai aaina-ru hua kyun mukaddar


wo iza mukarrar tujhe dega 'taban'
tujhe dega 'taban' wo iza mukarrar
15517 viewsghazalEnglish