ba-adab qimti saman mein rakkha jae

By samar-khanabadoshFebruary 28, 2024
ba-adab qimti saman mein rakkha jae
us ka khat reshmi juzdan mein rakkha jae
us ka ek jurm hai aur wo bhi faqat tark-e-wafa
us ka haq hai ki use dhyan mein rakkha jae


bas yahi soch ke thama tha kisi ka daman
phul achchha ho to guldan mein rakkha jae
main mohabbat ko 'ibaadat ki jagah rakhta hun
mujh se mujrim ko to zindan mein rakkha jae


us ki yaadon se kashidunga naya rizq-e-sukhan
mujh ko sargardan bayaban mein rakkha jae
main to is dil se pareshan hun mere 'khana-ba-dosh'
dusra dil tan-e-be-jaan mein rakkha jae


29372 viewsghazalEnglish