ba-faiz-e-ishq har ja sainkadon diwane milte hain jahan bhi shama raushan ho wahin parwane milte hain nahin mauquf kuchh sahra-nawardi par hi ai hamdam jahan hote hain farzane wahin diwane milte hain ye dil ki bastiyan aabaad hain jo husn-e-fitrat se inhi aabaadiyon ke qalb mein virane milte hain bata de kash ye koi haram ke jaane walon ko haram ki rah mein bhi anginat but-khane milte hain hudud-e-ishq mein hi aafiyat hai ye samajh lije hudud-e-ishq ke us par to virane milte hain nahin lata hun andeshon ko khatir mein kabhi hargiz wahin jata hun ud kar main jahan kuchh dane milte hain jahan ziddain yakja hon wahi duniya hai ai 'khawar' jahan hon jaane-pahchane wahin begane milte hain