ba-fart-e-shauq har gul mein tere rukh ki ziya samjhe agar chatka koi ghuncha to hum teri sada samjhe hamein dekho ki kab hum ne bina-e-ashiyan dali mukhalif apne jab sare gulistan ki faza samjhe bil-akhir aaj mera zabt-e-ulfat rang le aaya mujhe hi jaannisar-e-ishq-o-jaanbaz-e-wafa samjhe hamare pas aaya hai moattar jab koi jhonka use hum be-takalluf tere daman ki hawa samjhe hamein le aaya is manzil mein tere ishq ka jazba ki hum har ek zarra mazhar-e-shan-e-khuda samjhe samajh se dur hai jaan-dadgan-e-ishq ki manzil fana ki god mein sarmaya-e-raaz-e-baqa samjhe na hoga koi hum sa rahraw-e-rah-e-wafa 'jauhar' hum is manzil ki har aafat ko saman-e-baqa samjhe