ba-nam-e-ishq gham-e-mo'tabar zaruri hai hayat ke liye koi hunar zaruri hai kuchh aur ho na ho hasil baqa-e-dil ke liye ek iztirab-e-musalsal magar zaruri hai nashat-e-did jo manzur hai to ai yaro nazar ke sath khulus-e-nazar zaruri hai bahut ghalat hai tamanna-e-khud-faramoshi wafur-e-ishq mein apni khabar zaruri hai khyal-e-zinat-e-fasl-e-bahaar se pahle mizaj-dani-e-barq-o-sharar zaruri hai kuchh hum bhi aap se ummid-e-lutf rakhte hain udhar bhi ek uchatti nazar zaruri hai chaman ko aur hasin-tar banana hai 'mansha' to rang-e-kari-e-khun-e-jigar zaruri hai