ba-nam-e-taqat koi ishaara nahin chalega udas naslon pe ab ijara nahin chalega hum apni dharti se apni har samt khud talashen hamari khatir koi sitara nahin chalega hayat ab sham-e-gham ki tashbih khud banegi tumhaari zulfon ka istiara nahin chalega chalo saron ka khiraj nok-e-sinan ko bakhshen ki jaan bachane ka istikhara nahin chalega hamare jazbe baghawaton ko tarashte hain hamare jazbon pe bas tumhaara nahin chalega azal se qaem hain donon apni zidon pe 'mohsin' chalega pani magar kinara nahin chalega