ba-qadr-e-hausla koi kahin koi kahin tak hai safar mein rah-o-manzil ka tayyun bhi yahin tak hai na ho inkar to isbaat ka pahlu bhi kyun nikle mere israr mein taqat faqat teri nahin tak hai udhar wo baat khushbu ki tarah udti thi galiyon mein idhar main ye samajhta tha ki mere ham-nashin tak hai nahin kotah-dasti ka gila itna ghanimat hai pahunch hathon ki apne apne jeb-o-astin tak hai siyahi dil ki phutegi to phir nas nas se phutegi ghulamo ye na samjho dagh-e-ruswai jabin tak hai phir aage marhale tai ho rahenge himmat-e-dil se jahan tak raushni hai khauf-e-tariki wahin tak hai ilahi barish-e-abr-e-karam ho fasl duni ho ki 'baqar' ki to aamad bas isi dil ki zamin tak hai