ba-qadr-e-shauq maza iztirab ka na mila ki dil ko dard mila bhi to la-dawa na mila kahan pahunch ke hua hai malal-e-gumshudgi ye sun raha hun ki un ko mera pata na mila maza mila tha mohabbat ki ibtida mein magar phir us ke baad aziyyat mili maza na mila bahut qarib thi sarhadd-e-be-khudi lekin khudi ki had mein bhatakte rahe khuda na mila jabin-e-shauq mein sajde the inqalab-angez magar ye khair hui un ka naqsh-e-pa na mila hayat-e-ishq ko didar-e-husn lazim hai tere baghair kisi sans mein maza na mila talash-e-husn to hai himmat-azma 'shahid' meri nigah ko ab tak mera pata na mila