baad tere kya bataen aur kya chalta raha

By anaam-damohiFebruary 25, 2024
ba'd tere kya bataen aur kya chalta raha
zindagi-bhar zindagi ka masala chalta raha
raat-bhar baitha raha main ru-ba-ru-e-mahtab
aur us se tazkira bas aap ka chalta raha


khwab mein aati na thin shahzadiyan un ke kabhi
muflison ke khwab mein bhi fasla chalta raha
marte hain bastiyon ke log patthar qais ko
ya'ni sahra ka safar achchha-bhala chalta raha


lams ko tere kabhi main bhul hi paya nahin
sath mere 'umr-bhar ek hadisa chalta raha
shakh-e-dil se jhad chuki thi 'ishq ki har ek kali
rishta apne darmiyan bas nam ka chalta raha


main to bas takta raha un ke lab-o-rukhsar ko
un ke dil mein ab khuda jaane ki kya chalta raha
'umr-bhar pinhan raha qalb-o-jigar mein tera gham
'umr-bhar khushiyon se mera fasla chalta raha


is liye 'in'am' manzil tak na ja pae qadam
ek saya sath mere khauf ka chalta raha
18619 viewsghazalEnglish