baad tumhaare dekh na paya darpan kaisa hota hai

By devesh-dixitFebruary 5, 2024
ba'd tumhaare dekh na paya darpan kaisa hota hai
chudi bindi kajal gajra kangan kaisa hota hai
had se bhaari bojh kitabon ka jo dhoe phirte hain
aise bachche kya jaanenge bachpan kaisa hota hai


chhote chhote kamron wale shahri-jan ye kya jaanen
tal talaiya khatiya chhappar aangan kaisa hota hai
in angrezi schoolon ke bachche kaise samjhenge
bawan tirpan chawwan pachpan chhappan kaisa hota hai


14213 viewsghazalEnglish