baat aage baDha tariqe se

By aarif-nazeerJuly 12, 2024
baat aage badha tariqe se
aankh hum se mila tariqe se
aap sha'ir hain wo bhi ba-uslub
baat kije zara tariqe se


apni tahzib se hai kya badh kar
bar is ka utha tariqe se
dhang warna tha kab baratne ka
she'r sidha hua tariqe se


'am alfaz mo'tabar thahre
ek saliqa mila tariqe se
mat chadhaen pahad par chyunti
dad dije zara tariqe se


zahr pi kar mara nahin suqraat
qais zinda raha tariqe se
mat khurach dekh apne sine ko
dagh dil ke mita tariqe se


hum ko wa'iz tu kyon daraata hai
kar khuda-ashna tariqe se
tujh ko 'arif' gale lagaega
tu agar laut aa tariqe se


93544 viewsghazalEnglish