baat bachchon ki thi ladne ko siyane nikle phir ajab kya hai ki bachche bhi ladake nikle dhyan man rakhti thi mera wo zamane nikle hain yun ab roz sawere se kamane nikle aam ke bagh se jab se hain parinde ghaeb baad us ke kahan phir aam rasile nikle potli jis ke liye ladti rahin auladen man ki us potli mein sirf jharoke nikle ye to kal-yug hai khara is mein nahin hain koi mujh ko shikwa nahin sikke mere khote nikle phir gharibon ki shikayat ka khuda hafiz hain jab waziron ke amiron hi se rishte nikle gard jab saf hui sab ne ye manzar dekha jo nazar aate the unche wahi baune nikle ibtida phir se hai ek aur safar ki 'atish' baad marne ke bhale pairon se jute nikle